Bachapn me wo papa KO ghoda
banati hai....maa se bhi apni har jid Puri karwati hai.... Bhaiyo se ldte ldte
badi ho jati hai..... Pure ghar Ki Jan betiya hi to ban jati hai....
Clg ko jab WO pahli bar jati hai.... Bhai KO
bhi apna driver banati hai..... Ldte ldte bhai usko roj clg chhoda krta
hai.....
Ek roj wo sach me badi ho
jati hai..... Jab wo maika chhod sasural ko jati hai..... Sath apne bas yaade
le jati hai.....
Bhai bhi to uske yaado me reh jate hai....
Chhod kar apna pariwar wo Kisi or ghar ko jati hai..... Anjano k bich me thodi
akele ho jati hai....
Kuch Dino me usko wo ghar bhi bhata hai....
Par mayka Ki yad kabi na dil se jata hai.... Sath dene ko ek or pariwar mil
jata hai.....
Husband ka pyar usko bhi to
bhata hai.... Lekin fir bhi wo mayka na bhula jata hai....
Kuch salo me ghar me ek naya
mehman aata hai....jo usko mumma mumma keh bulata hai..... Beti se maa tak ka
Safar har mod par usko yaad aata hai....
Lekin bachcho me wo apna bachpan dekh khus ho
jati hai.... Ek beti ab ek maa ka har farz nibhati hai...
har mod par aaj bhi use uski
maa Ki yaad aati hai.... Lekin khud k sapne chhod ek naye pariwar k rang me
rang jati hai.....
Ab sikayat krti nahi suna
karti hai.... Kabi haste to kabi rote har farz nibhaya krti hai.... Kisi KO koi
shikayt na ho iska dhyn bhi wo ab khud rakha krti hai....
Maa ka achal chhod khud Maa ka farz nibhati
hai....
Kabi bahu to kabi Bhabhi, kabi maa to kabhi
wife.... Har mod par par ldkiya hi to pariwar chhod jati hai... Kisi or Ki
khusiyo k liye khud KO bhul jati hai....
Esi hoti hai ldkiyo Ki life
beti se maa ban jati hai....bhul k apna har dard muskurati hai.... Paraye ghar
me bhi apni jagah khas banati hai.... Tabi to betiya sab Ki Jan hoti hai....
